Redmi Y3 Accha Choice hai ya Bura Redmi Note 7 se?

Xiaomi India ne Launch kar diya Redmi Y3 Aaj humare Desh India me par kya ye Redmi Y3 jiski Pricing 9999 Rs. rakhi gayi hai, Redmi Note 7 se Accha hai ya nahi?

Kyunki Redmi Note 7 bhi 9999 Rs. se start hoti hai aur dono me decide karna ki kaun accha hai kaun bura ye aapke liye mushkil ho sakti hai. Aaiye mai aapko Vistaar se batata hu.


Design, Display & Build Quality -

Redmi Y3 aur Redmi Note 7 ka Design kaafi hadd tak Same hai, Dono me 6.3in ki Screen mil jaati hai, Dono me Dot Notch Mil jaata hai aur dono me hi gradient Back Mil jaata hai.

Par fark ye hai ki Redmi Y3 me Plastic Back Diya gaya hai par Redmi Note 7 me Back bhi Gorilla Glass 5 ka Bana hua hai .

Screen Quality me Redmi Y3 Sirf HD+ Resolution ke sath aata hai wahi Redmi Note 7 me Full HD+ Resolution ka Support hai.

Front me dono me hi Gorilla Glass 5 Mil jaata hai.

Haantho me feel karne me, Display Quality me aur Build Quality me bina kisi Shaq ke Redmi Note 7 Jyada Behatreen hai.


Hardware & Processor -

Redmi Y3 me Snapdragon 632 Processor milta hai jo Octa-Core 1.8Ghz me kaam karta hai. Wahi Redmi Note 7 me Snapdragon 660 milta hai Jo Octa-Core 2.2Ghz pe Clocked hai.

Yahi nahi, GPU ki baat karle to Snapdragon 632 me Adreno 506 ki GPU hai aur Snapdragon 660 me Adreno 512 ki GPU hai.

Definitely Processor aur GPU me Redmi Note 7 Better hai.

Redmi Y3 aur Redmi Note 7 dono me hi 3GB/4GB Ram aur 32GB/64GB Storage ka option mil jaata hai.


Camera -

Redmi Y3 aur Redmi Note 7 dono me hi 12MP + 2MP ka Back Camera hai jo ki f2.2 Aperture ke sath 1.2um Pixel Size me aata hai.

Front Camera ki baat karle to Redmi Y3 me 32MP ka Front Camera hai aur Redmi Note 7 me 13MP ka Front Camera hai.

Par Bhale hi Mega Pixels Redmi Y3 me jyada ho agar aap Pixel Size dekhenge to Redmi Y3 sirf 0.8um Pixel Size hai jabki Redmi Note 7 ka 1.25um Pixel Size hai. isse Low Light me jyada behatreen selfie Note 7 me hi milega.

Redmi Y3 1080p me 60fps pe Recording kar sakta hai Redmi Note 7 4K me bhi Record karne ke capable hai.

Dono me hi EIS mil jaata hai aur AI Beautify mode supported hai.

Overall Camera dono me hi Barabar maan sakte hai kyunki 32MP hone se koi jabardast nahu ho jaata.


Battery & Charging -

Redmi Y3 & Redmi Note 7 dono me hi 4000mAh battery mil jaata hai. Par fark ye hai ki Redmi Y3 me Quick Charger Supported nahi hai jabki Redmi Note 7 me Quick Charge 3.0 Supported hai.


Software & Updates -

Dono me hi Android Pie based Miui 10 mil jaata hai par jaisa ki aap Jaante hai Y series me Android Updates milne ka kamm chances hota hai par Redmi Series ko Regular Android Updates diya jaata hai.


Others -

Dono me hi IR Blaster mil jaata hai.

3.5mm audio Jack bhi dono me hai.

Par Redmi Y3 me jaha Micro USB Port hai wahi Redmi Note 7 me USB Type-C diya gaya hai.

Dono me hi Dual Sim Dual Volte Supported hai par Redmi Y3 me Extra Micro SD Card ka Slot milta hai wahi Redmi Note 7 me Hybrid Slot availaible hai.


Verdict - 

So Overall Redmi Note 7 ek Behatreen Choice lagg raha hai agar Redmi Y3 se Compare kare to..


Redmi Note 7 ke Advantanges -

SD 660 > SD 632

USB Type C > Micro USB

Quick Charging > Slow Charging

FHD Resolution > HD Resolution

Gorilla Glass 5 back > Plastic Back

4K Video Recording > 1080p Video Recording


Redmi Y3 ke Advantages -

32MP Selfie > 13MP

2 Sim + 1 SD Slot > Hybrid Slot


So Overall ab aap pe depend hai ki aap kya choose karna chahte hai.

Agr aapko humara ye Blog pasand aaye to like share and Subscribe jarur kare.

Post a Comment

2 Comments