Failure - Story of My Life, YouTube & Technology


Failure !!

So, Aaj se 6-7 Saal pehle, Ek Ladka tha Jiska Naam Shahrukh tha.
Usne apna ek Chhota sa YouTube Channel banaya tha Jiska Naam "Magic Weapons" tha.

Shahrukh ko Bachpan se hi Technology me Bahut interest tha,
Itna interest ki 10-12 Saal ke Umar se hi Computer Chalana aur Repair Karna dono hi aa gaya tha .

Kayi Friends ya Kayi Log humesha Use Apne Ghar Bulaate the Agar Kuch bhi Unke Computer, Laptop ya Mobile Phone me Problem aata tha.

Chaahe Software ya Games Ko Crack Karna hota tha,
Ya Windows Install Karna hota tha.
Chaahe Kisi ka RAM insert Karna hota tha,
Ya Kisi ke CDs DVDs ko Copy ya Burn Karna hota tha.
Kisi ke Black & White Phone me Contacts Save Karne se Lekar
Kisi ke Ghar me Jaakar Computer ki Tution dene tak
Shahrukh Sabkuch Karta tha, Wo bhi Bilkul free me.

Par fir Uske Caring Family mana bhi Karte the,
Ki Baar Baar Dusro ka Ghar Jana Sahi Nahi..
Kayi Tarah ke Log hote hai, Jo Kayi Tarah ki Baate Sochte hai..
Aur Agar Tum Sabke Problems Theek hi Karte ho,
To Charges Kyu Nahi lete unse?
Aur fir Shahrukh ko bhi lagta tha ki haan
Charges agar leta to abtak Najaane Kitna Kamaya hota?

Par fir Jab bhi Kisi ki Help Karne Jata,
to Mai Charge Lunga, Aisa Shahrukh Bilkul bhi Nahi Keh pata..
Shayad Yeh Pehli Failure thi, Kyunki Ab Use Aisa Lagta hai,
Ki Apne Haq ke Cheejo ko Maangne me Kabhi Sharmana Nahi Chahiye..

Waise, Free me Logo ki Madad karke, Saamne waale ke Khushi ko hi dekh kar, Wo Khush ho jaya karta tha..
Waise Shahrukh ko Jyada Mobile Phone se Lagaao nahi tha,
Kyunki 2009 tak use lagta tha, ki Phones bahut Boring hote hai.
Computer me Jo baat hai, Wo Phone me kaha?

But Uske Mammi ke Paas Nokia N70 tha, aur ek din Mobile Use Karte Karte Use Pata chala ki is Smartphone me to Applications bhi install hote hai..

Wo Pura Excited ho gaya, Ye wo Pehla Samay tha Jab Use Lagne laga ki Mobiles aur Computers ke Beech ki jo daraar hai Wo Khatm ho rahi hai..

Excitement me Aakar Shahrukh ne Wo Phone Apni Mammi se Maang Liya,
Aur fir Waha se Shuru hua Ek Naya Safar, Smartphone Exploration ka.
Wo Chhota sa Nokia N70, Itni badi badi cheeje Sikha gaya
Samjho ek Computer ke Aashiq ko Mobile ka Diwana bana gaya..

Fir Dhire Dhire Jana Mobile Operating Systems ke baare me
Symbian, Java, Bada OS based Smartphones ki differences ke baare me
Camera me MegaPixels se lekar, Maps me GPS Navigation tak,
Networks, Access Point Configuration, Internet Settings Sabkuch Usne Sikha..

Aur fir kya tha, Pehle Wo jata tha logo ke Ghar unka Computer banane,
Ab Log hi aane lage Shahrukh ke Ghar Apna Mobile theek karwane..
Fir Kayi saare Phones usne istemal kiye, jaise Nokia 5800XM Jo ki Uski Pehli Touch Screen Wali Smartphone thi.

Agar Games ki bataau to Black & White Snakes se Lekar, Color Phone ke Bounce tak,
Symbian ke Snakes 3D se lekar Series 60 ke Raging Thunder tak, Sabkuch Usne Khela..
Par Dhire Dhire Use Saare Symbian Smartphones ab ek jaise hi lagne lage, aur wo Bore hone laga, aur fir ek din Baarish me Uska Phone bhi kharab ho gaya..

Saal 2011 tha, aur Ab Samay tha Koi Naya Phone liya jaye
Par ab Symbian Phones lene ka Bilkul bhi Mann nahi tha,
Usne Socha Kyu na Kuch naya try kiya jaye,
Aur Internet pe us waqt Android ke Kaafi charche the.
So Usne Apna Pehla Android Smartphone Buy Kiya,
I-Ball Andi, Us Waqt Uski Budget me, Bus yahi ek Android Smartphone tha.

Is Phone ki Sabse Khaas baat use yeh lagi, ki isme Application Store diya hua tha
Jiska Naam tha Android Market, jaha se koi bhi App Ek Click me download ho jata tha.
Pehle jitne bhi Phones Shahrukh ne Use kiya tha unme apps ko Browser se download karke install karna hota tha, Par Android Phone me direct download and install dekh kar isme aur bhi jyada interest badh gaya..

But Yeh Phone kaafi Vulnerable tha, Ek baar Format karne ke kiye Shahrukh ne Factory Reset kiya to is Phone ka IMEI hi apne aap Delete ho gaya.
Ab IMEI wapas laane ka solution wo har jagah internet par dhundhne laga, aur fir waha se shuru hua Ek aur Naya Safar jise hum Flashing kehte hai..
Solution dhundhte hue Shahrukh ne bahut Kuch Seekh liya, Mobile Software flashing ke baare me, Rooting & Recovery ke baare me, Super User aur Android ke Open Source hone ke baare me. And finally IMEI wapas aa gaya.

Android ki itni saari Possibilities dekh kar Shahrukh ko laga ki ye to Kamaal hai..
Aur ye Dusra Samay tha jab use Laga ki Smartphones aur Computer ke beech ki duri kamm ho rahi hai..
Interest itna badha ki Wo Search karne laga, ki kya hum Smartphone me Windows 7 daal sakte hai?  Kya Android Phone ko Windows Phone bana sakte hai?

Aur in Sab Sawalo ke Jawab dhundhte dhundhte, Usne jana Modding & Custom Roms aur Flashing ke baare me. Aur fir kya humesha Nayi Nayi cheeje karta Wo apne Phone me aur logo ko chaunka deta.
Screen Crack wale Prank se Lekar, Android to Windows Remote Desktop tak
Cyanogen Mod flashing se Lekar, Android Phone ko Windows Phone banane tak, Sabkuch Kiya maine.
Ab Kuch log kahenge, kya Bakk raha hai, Android Phone ko Windows Phone Kaise bana sakta hai?
To Shahrukh ne Root karke itni Jyada ek ek System App ko Replace kiya tha ki Har chij dikhne me Windows Phone jaisa ho gaya tha.

Aur BTW, Yahi Topic Shahrukh ke YouTube par Pehla Video tha, Jo Video Aaj bhi Availaible hai.
But But, Hey, is Kahaani me Shahrukh YouTuber Kab Bana? Kaise Bana?
To hua Kuch yun, ki Wo Sabkuch seekh to raha tha, Par Logo ki help karne ki aadat uski aaj bhi nahi gayi thi, Free me humesha sabke Problems theek karna, Devices, Gadgets, Mobiles, Computers sabkuch..
So ek din finally Shahrukh ke bhaiyya ne suggestion diya, ki tum jo itna sabki madad karte ho tumhara kya fayeda hota hai? Apni padhai, Apna time loss karoge bus.
Agar tumko isi cheej me interest hai to ek kaam karo, YouTube par Video banao.

Jo Jo logo ko Problem aata hai uske baare me video bana do, taaki koi bhi tumse Problem bataye to tum video se hi sabko sikha do ki kaise theek karna hai..
And it Made the Perfect Sense..

Aur fir Shahrukh ne Apna Pehla YouTube Channel banaya "Magic Weapons" ke naam se aur us par pehla Video banaya, Windows Phone 7 on Android, Camera nahi tha, Laptop ke VGA Camera se Record kiya, Bolna theek se ata nahi tha isliye kuch bola nahi, Bus chup chap video me show kar diya.

Pehla Video tha uska YouTube par isliye Usne socha tha bus test karta hu logo ko kaisa lagta hai, But Use YouTube ke Copyright ke baare me kuch bhi nahi pata tha, aur usne dusri Video me ek Movie ki Clip daal diya tha. Jiski Wajah se Shahrukh ka Channel teen mahine ke liye suspend ho gaya aur Uploading band.
Yeh dekh kar use bahut bura laga, usne socha kya faltu rules hai Mujhe nahi karna YouTube aur fir 3 mahine ki jagah 2 saal tak Shahrukh YouTube par wapas nahi aaya ..

In 2 saalo me bahut kuch hua, Wo 12th Ke baad Engineering me chala gaya,
Sabki baate Sun Kar, Computer Science ke Jagah Civil le liya..
Usne Kayi saare Phones bhi change kiye, Android Froyo se Lekar, Android Jellybean tak Pahunch Gaya.. 222Mhz se 1.2Ghz pe aa gaya..

128MB Ram se 1GB pahunch gaya..
1GB Storage se 8GB Storage pe aa gaya..
2MP Camera se ab 8MP pe aa gaya.
kayi Saare Mods, Kayi Saare Custom Roms Usne Try kiya
Viper4Android se lekar Xposed Module tak ko jaana..
Android Debug Bridge se lekar, Fastboot Mode tak ko Samjha..
Device Bricking se lekar Unbricking tak try kiya..

XDA par Jab bhi koi Naya Rom aata uske Phone ke liye wo Jarur Try Karta,
AOSP Rom, Nemesis Rom, CyanogenMod, Lewa OS, Aur bhi Bahut se hote..
Par Ek ROM tha jiska naam padh kar hi Shahrukh try nahi karta tha,
Us ROM ka naam tha "Miui v5".

Humesha Wo Sochta, Aisa Ajeeb sa naam hai to Rom bhi Bilkul ajeeb hi hoga, aur isliye wo kabhi Download hi nahi karta tha..
Par Kuch samay baad aisa hua ki use Saare Custom Roms Boring lagne lage, Sabhi ek jaise lagne lage, aur fir ek din dil par patthar rakh kar Shahrukh ne socha ki chalo Sabkuch try kar liya ab Miui V5 bacha hai use bhi Flash kar ke Dekh hi leta hu.

Aur fir yaha se ek aur Nayi Journey ki Shuruat hui, Miui Exploration ki.
is Custom Rom ne Shahrukh kk Bahut hi Jyada Surprise kar diya.
Flash karte hi jo Sabse pehli cheej usne Notice kiya, Ki Smartphone Boot hote hi, Jo Boot Logo tha Wo Completely changed hokar Miui ka Boot Logo bann gaya.
Shahrukh was Like - Ohh Android me Boot logo bhi change hote hai?

Aur saath hi saath Boot Animation bhi Badal gaya..
Fir ROM Start hote hi iski UI Sabse jyada Alag thi, Koi bhi Custom Rom iske aaspaas bhi nahi tha, Kaafi Whitish, Vibrant, Colourful Icons, Bina Kisi App Drawer ke, Sabkuch kaafi Jabardast lagg raha tha..

Touch Sound se Lekar ke Touch Vibration tak badal gaya tha..
System UI se lekar ke Camera Performance tak Change ho gaya tha..
Uska Phone aisa lagg raha tha jaisa Abhi Bilkul naya ho, premium ho.
Shayad yahi Love at First Sight hota hai..

Miui v5 me itne features the ki wo Kabhi Bore hota hi nahi tha.
Kabhi Dialer se Piano ya Guitar bajata tha,
To Kabhi Camera ke Filters ko Try Karta,
Kabhi Ek Ek Setting Check karta,
To Kabhi Kabhi Pura din themes me uljha rahta..

Miui V5 ne kabhi bhi use Bore hone ka Mauka hi nahi diya aur jab bhi lagta ki Boring hone wala hai, tab tab koi na koi Update aa jata Naye Naye features ke sath..
To Curiousity me aakar Shahrukh he janana chaha ki Aakhir Miui V5 ko banata kaun hai?
Aur Internet par searching Shuru hui, Tab pata chala ki ise to Koi Xiaomi naam ki company banati hai, aur wo Company to Phones bhi banati hai..

Fir Shahrukh ne Xiaomi ke Phones dhundhe pata laga sirf China me banati hai, par jab un Smartphones ka Specification aur Hardware dekha tab Laga ki Kya Jhakkas Smartphone hai kitne kamm Price me, Ye India me Kyu nahi aata?
So, Xiaomi ka Smartphone to nahi mila par usne Miui v5 ko istemal karna jaari rakha..

Aur fir ek saal tak Lagatar Miui istemal karne ke baad ek behatreen News usne internet  par padha.
Wo News ye tha ki Xiaomi ab India me aayegi aur teen naye Smartphones launch karegi..
It was a Dream Come True ♥️

Fast Forward,
Xiaomi Aaya aur Shahrukh ne Mi 3 Khareed Liya..
Sabko Xiaomi ka hi Phone Refer Kiya.
Redmi 1s, Mi 3, Redmi Note 3G, 4G, Sabhi ghar ke log le chuke the.
It was Crazy !!
Aur fir isi Excitement me, Shahrukh ne dubara YouTube pe Kabhi Kabhi Video dalna shuru kiya aur apne Channel ka naam Badal kar "The Tech Star Shahrukh" kar diya.
Video Upload karte hue use ek Option dikhta tha "Monetization" ka.

Wo Sochta aakhir kya hai, ek din search kiya to pata chala ki isse Paise bhi kama sakte hai Advertisement dikha kar.
Usne Socha Wow ye to acchi cheej hai, Monetization ke liye Sign up karne gaya par theek se use samajh nahi aaya ki karna kaise hai, to usne socha chhor dete hai, waise bhi kitne views aayenge, kabhi lagatar video banaunga tab ON kar lunga.

But Wo Bada ho chuka tha, aur uska bhi mann karta tha paise kamaane ki, So usne socha kyu na Stock Market me invest kiya jaaye, suna hai kayi log raato raat Ameer bann gaye hai.. Aur fir..
Shahrukh Started investing, He learnt about Stock Market, Shares, Sensex, Nifty, Intraday Trading, BTST, Forex, Commodity, Mutual Funds etc.. Which were totally different from his line of interest.

Ab Shahrukh ke paas Apna paisa to tha nahi, to wo Apne Papa se leta invest karne liye. Pehle 10 Hazar liya aur usse traing shuru, Kabhi thora fayeda hota, kabhi Jyada Nuksan, aur wo 10K kab khatm ho gaya, pata bhi nahi chala.

Fir Shahrukh ne socha is baar acche se Trading karunga aur 10K Recover kar lunga . Aur fir Papa se 30K liya aur use bhi Loss kar Gaya.
Fir us 30K ko Recover karne ko Bhaiyya se 50K liya, aur use bhi Dhire Dhire Loss kar gaya..
Samajh nahi aa raha tha Shahrukh ko ki ab wo kya kare, Kyu Loss ho raha, Kaise ho raha kuch bhi samajh nahi aa raha tha use..

Aur ab use darr bhi lagg raha tha ye family me batane me ki itne paise loss ho gaye hai.
Shahrukh ne Socha, batane se accha hai kisi tarah in paiso ko Recover karlu, par kaise karu?
To finally Papa ne use uska College fees diya, ek saal ka, jo ki 80K tha.

Shahrukh ne socha abhi to 3-4 mahine hai jama karne ko, ise invest karke recover kar leta hu.. And
Ye investment bhi Loss ho gaya.
Ab to Bilkul himmat nahi thi ki bata sake wo Apne family me ki itni badi Loss hui hai.
Aur ab koi rasta bhi nahi dikh raha tha ki kaise Recover karta itne Paise..

Aur Collage me fees dene ke Din bhi Najdeek aa rahe the.
Kayi Logo se aur Friends se usne baat kiya, Sabne kaha mai 10K, 20K de sakta hu par ek mahine me lauta dena, par Shahrukh ko ye manjur nahi tha kyunki use jyada waqt chahiye tha, wo bhi jaanta tha ki ek do mahine me sbko itna jyada lauta dena possible nahi..

Wo Toot Chuka hai, Life ke aise hisse se gujar raha tha, jaha na aage jaa sakta tha na piche mud ke dekh sakta tha.
Wo Sochta tha koi Time Travel machine hoti to mai us din wapas jata jab maine first time Stock me invest kiya aur mai khud ko rok leta.

Wo Sochta kaash koi jaadu ho aur Paise aa jaye ..
Wo Sochta agar apna Laptop Aur Smartphone bhi bechu to bhi 15-20K hi honge, 80K nahi..
Wo sochta kahi kaam bhi karne jaau, to bhi mahine ke 4-5K hi milenge jisse ek saal me bhi 80K nahi hoga..
Kayi log uske Loss ko dekh kar haste, Use Bewakoof kehte.
Par Madad Karne ko Koi Nahi hota..
Wo Sochta Shayad Agar Bachpan se Sabke help karne ki fees maine li hoti to aaj mai apne fees ke liye nahi ro raha hota..
Wo Sochta Loan lena kaisa rahega? Par fir unki policies kaun chukayega?

Wo Sochta Koi Galat Kaam? Par fir wo aisa bilkul nahi sochta..
Par Usne ye thaan liya tha ki chaahe kuch bhi ho jaaye,
is baat ka pata family ko nahi lagna chahiye jabtak wo recover na karle.
Jab Bina Bataye Loss Kiya hu, To Bina Bataye hi Recover bhi Karna hai.

Finally itna Sochne ke baad bus ek hi raasta dikha use..
Youtube par Video banana, Responsible hokar daily aur usi se paise kamana..
Par kya 80 hazar Kama lena itna aasan tha?
Bilkul nahi..
Sabse pehle Usne Monetization On kar liya tutorials dekh kar.
fir purane Videos ko monetize kiya jinse lahbhag 78 Subscribers aa chuke the.

Aur waha se shuru hua daily Xiaomi ki Videos banana..
Wo sabse jyada Xiaomi se attracted tha aur Miui ki Knowledge acchi thi kyunki wo Ek Saal se Miui use kar raha tha jabki India me ye Abhi Abbi aya tha.

Isliye Usne Updates dene shuru kiye, Miui ke features ke baare me tutorial banana shuru kiya. Alag Alag Xiaomi ke Gadgets aur Phones ke review karna shuru kiya.

Par jab Paise nahi the to kaise aya Gadgets aur Phones?
Unhi logo se jinse kabhi Charges aur fees nahi liya usne..
Kyuki unme se jyadatar log shahrukh se hi puchte the ki kaun sa Phone ya Gadget kharidu, to aise me wo kehta tha ki Aap Paise dedo Mai Order kar dunga, bus Phone aane ke baad do din mere paas rahne diniyega video banane ke liye..
Aur wo log maan jaate the..

Shahrukh 2 dino me Product Unboxing & Review bhi karta tha, par jab jab mauka milta unlogo se Phone lekar updates ki bhi Video banaya karta tha.
Pehle Kamm Views aate the Video pe, Par jaise jaise wo Consistent ho gaya, Log jaanane lage ki Koi hai jo humesha in topics ko cover karta hai.

Koi hai Jo ache acche features ke baare me batata hai.
Aur Software bhi tha to Miui, Jab Shahrukh khud Bore nahi hua tha, to apne Viewers ko kaise Bore hone deta?

And fir dhire dhire wo YouTube par wo Grow hone laga
aur waha se shuruaat hua Paise kamaane ka Silsila..
March 2016 - 2$ yaani 120 Rupaye Aaye, Jaanta hu Bahut jyada nahi tha, par pehli Kamaai thi..

April 2016 - 10$ yaani 600 Rupaye aaye, Usne ye nahi dekha ki kitna kamm kama raha, ye dekha ki pehle mahine ke mukaable is baar 5 Guna Jyada kamai hui hai..

May 2016 - 20$ yaani 1200 Rupaye, 2 Guna Jyada, Koi baat nahi..
June 2016 - 50$ yaani 3000 Rupaye, Confidence badhne laga
July 2016 - 80$ yaani 4800 Rupaye, Totally Confident
March se Lekar July tak me 2$ se 80$ ho jana, yaani 40 Guna Jyada Kamana 5 mahino me, ye soch kar accha lagne laga..
Par ab Waqt tha College ko fees dene ka aur agar nahi deta to usko College wale Exam nahi dene dete.

in Sabhi Mahino me Payment ko mila kar 155$ yani lagbhag 9000 ho rahe the,
to Shahrukh ne College me baat kiya, thore bahut bahaane laga kar usne kaha ki fees exam baad hi de paaunga aap bus Exam ki fees le lijiye aur mujhe exam dene dijiye.
College waale maan gaye aur exam fees 5000 lekar use exam dene diya.

Aur jab 15-20 dino baad Exam khatm hua to college walo ko yaad bhi nahi tha ki usne fees nahi diya to agle semester tak ka waqt mil gaya yaani 6-7 mahine the abhi bhi 80K kamaane ka Shahrukh ke Paas.

So Shahrukh Kept Working Consistently
August 2016 - 50$
Sept 2016 - 70$
Oct 2016 - 140$
Nov 2016 - 70$
Dec 2016 - 190$
Jan 2017 - 80$
Feb 2017 - 230$
Mar 2017 - 290$

So, Exams Hone tak Shahrukh ke paas lagbhag 1100$ yani lagbhag 70 Hazar ho gaye the, So What Shahrukh did? Nothing..
Bus 60K Usne Pay kiya aur 5K Exam fees de diya aur Baaki ka 20K kehh diya Ki Sir Exam Baad le lena. And it worked.

And Finally Exam Baad Shahrukh ne Baaki ke 20K bhi de kar pure 80K ka Bojh Apne Sir se hataya..
But ye Story ka the End nahi tha..
Engineering Complete hui aur woh ab YouTube me puri tarah se Kho chuka tha..
20 Hazar Subscriber. bhi ho Chuke the Jinke liye ab use Har Roj Video banana tha..

Jo 20K Subs Karne me ek Saal lage the, wahi 50K Subs tak pahunchne me fir 6 Mahine lage. aur fir 100K Subs tak Karne me aur 6 Mahine.

Use Bahut Khushi ho rahi thi Par Abhi aur safar Tay karna tha.
To March 2018 me MileStone rakha ki hume is Saal ke End tak 200K Subs karne hai..

Aur fir ye Pura bbi hua, Agle 9 Mahine me 200K Subscribers pe pahunch gaya wo.
Jab 200K Subs hua tab December 2018 tha, aur Shahrukh ne Apne Viewers se fir kaha ki 2019 me hume MileStone paar karna hai aur wo Milestone hogi 500K Subscribers ki..

Shahrukh ko Pura Bharosa tha wo yeh kar lega, Yaqeen tha, Kyunki wo Consistent tha, Lagatar videos bhi banata tha, Par..
Aaj 30 December hai Jab maj ye Likh raha hu, aur mai apko bata du.

Aaj Shahrukh me 300K Subscribers bhi nahi hai..
Wo 250K Subscribers ke baad se Ruk sa gaya.. Tham sa gaya..
Par aisa kyu hua?

Kyunki Jaruri nahi ki har MileStone Pura ho Jaaye..
Kyunki Jaruri nahi ki har Story me Success Mil Jaaye..
Kyunki Jaruri nahi ki Jo Chaaho har baar wahi Haasil Jaaye..
Jindagi me Failures bhi Jaruri hai Apko Sahi Raah Dikhaane ko..

Agar Wo Shuru se Help karne ki Charges liya hota, to Shayad wo itne Trustworthy nahi hote ki Apna device dete Video banane ko..
To Accha hua Jo Wo Fail hua Paise maangne me..

Agar Uske Phone ka IMEI na Udta to Shayad wo Miui tak Pahunch hi nahi pata.

To Accha hua na Jo Uska IMEI Delete hua...
Agar Wo Stock Market me Paise Loss Nahi Karta, to Shayad Easy Money ka Bhoot Nahi utarta aur shayad aaj bhi wo Loss hi kar raha hota.

To Accha hua na Jo Loss hua, aur usne Sikha the Hard Way ki Kaise Recover karna hai?
Agar Uske Friends use Paise de diye hote, to Shayad wo Itna Consistent bhi na hota YouTube pe. To Accha hua na Jo use Paise na Mile, aur khudse usne firse Chalna sikha?

Shayad Agar wo Girta Nahi to Kabhi Uthta Nahi..
To Accha hua na Jo Wo Gira aur fir Uthna Sikha..

Usi Tarah se Kya Ho Gaya Jo 2019 ka Milestone Complete Nahi hua?
Ye to Accha hua na Jo fir se Failure Mila taaki 2019 ki Galtiya 2020 me Na Dohraau.

Ye Milestone Complete nahi hua to Kaafi Kuch use Khud ke baare me jaanane ko Mila.. Agar Complete ho jata to kya Sikhta?
To Accha hi hua na Jo hua?

2019 ki kayi saari Galtiyo ke baare me samajh aaya
Ki Woh Pehle Jitna Consistent nahi tha..
Usne Videos ki Quality bhi Nahi Badhai..
Uski Videos Pehle jitne Interesting Nahi rahe..
Pehle Tutorials Dher sara aata tha par ab Bahut Kamm..
Pehle Update Reviews hota tha ab to Bahut Kamm..
Pehle Tips Tricks bhi ata tha wo Bhi Kamm..
Flashing Roms & Recoveries, Mods sabkuch kamm raha 2019 me..
Wo Kaafi Jyada Lazy bhi hi gaya, Kaafi Kamm Videos bhi banane laga..

In Sabhi Galtiyo ka Ehsaas hua, Par ye the End nahi hai..
Ye to Shuruaat hai, Life ke ek aur Chapter ka..
Iske baad kya hoga, Ye Wo bhi nahi jaanta.
Par Aasha hai Purani Galtiyo se Seekh kar,
Ao bhi Ab ek Nayi Shuruat Karega.
Jarur Karega..

Agar wo Aaj Smartphone me itni Lambi Kahani Likh paa raha hai
To Ab Phone aur Computer  ke Beech me Difference Kaha Raha?

-Written by
Tech Star Shahrukh

(Article is Unedited, Unchecked, Sorry for any Mistakes)

Post a Comment

5 Comments

  1. Insha Allah you'll succeed...

    ReplyDelete
  2. when i was reading the blog.. i could relate many things..the fees ghotala! interest t learn things from many domains, shyness to ask for charges etc..u r great man!! keep growing!

    ReplyDelete
  3. Great story. But you succeeded man and learned a lot. Chalti ka Naam hai Zindagi. Keep rocking.

    ReplyDelete