MIUI 10 Ka Stable ROM Update Karne Ka Bahut Easy Tareeka
NOTE: Aap ye dhyaan mein rakhiye ki isse aapka sara internal storage ka data lost ho jaega, iss liye apne data ka Google Drive pe backup bana lijiye ya phir apne P.C mein backup bana kar rakh lijiye.
CONTENT KA SUMMARY
- MIUI 10 ka stable update karne ke aapka apna MI ka phone chahiyey.
- MIUI ke website se ROM download kijiye.
- System update m jaake, select update package pe click kijiye aur apna downloaded ROM select kijiye.
- ROM install hone mein thoda time lagega, battery mein charge full rakhiye aur wifi se connected rakhiye.
MIUI 10 ka beta ROM ab puri tarah se khatam ho chuka hai aur stable update aa chuka hai, but bahut se users ko ye samajh mein nahi aa raha hai ki wo apne Redmi ke phone ko beta se stable ROM mein kaise convert karein. Halaki iss article ko padhne ke baad aapke liye beta to stable ROM mein jaana bahut asaan lagega. To aap logon ko puri tareeke se explain karne ke liye main ye article mein bahut hi easy steps mein explain karunga ki Beta se Stable mein swipe karne ka kya tareeka hai.
STEPS BETA TO STABLE MEIN UPDATE KARNE KA:
- Pehle settings mein jaiye, About phone mein jaiye, system update mein jaiye aur right side upar mein 3 dots hai uspe tap karke check kijiye ki usme Choose update package ka option aa raha hai ya nahi.
- Agar choose update package ka option aapke mein nahi aa raha aap miui ke logo pe 10 times tap kijiye phir 3 dots pe tap karke check kijiye Choose update package ka option aa gya hoga.
- Uske baad aap MIUI ke official ROM Downloading ke site p jaiye| MIUI ROM Download | (Iss website ko P.C view mein open kijiye)
- Aur usme saare phones ka list hoga aap apne uss phone ko select kijiye jisme aapka MIUI 10 ka stable update karna hai.
- Iss step mein aapke saamne ek page open ho jaega jisme aapko Download Full ROM pe click karna hai aur ROM download hona start ho jaega.
- ROM Donwload hone ke baad, system update mein jaiye aur phir 3 dots pe click karke choose update package pe tap kijiye aur jo ROM aapne apne phone ke liye download kiya hai usko select kijiye aur phir OK pe click kr dijiye.
- Decryption hoga aur phir ROM install hone lagega. ROM install hone mein thoda time lagega iss liye phone ka battery pura full rakhiye.
And That's it, Inn steps se aap ROM successfully install kar sakte hain. Ab aapka phone bilkul new unit ke tarah ho jaega. Aap usko setup kijiye aur MIUI 10 ke stable update ko enjoy kijiye..😉😉
Agar iske baad bhi koi problem aa raha hai to niche video dekh kar aap aur bhi acche tarike se samajh sakte hai.
Iss video ko pura dejhiye aur poori jaankari lijiye...
NOTE:
- Aap ye dhyaan mein rakhiye ki isse aapka sara internal storage ka data lost ho jaega, iss liye backup bana kar rakh lijiye
- Phone ko full charge rakhiye taaki installation ke beech mein phone switch off na ho jae.
- Aur internet connection se phone ko connected rakhiye taaki installation ke baad setup karne mein easy ho.
Thank You...
Dhanyawaad...
Shukriya...
Dhanyawaad...
Shukriya...
Main umeed karta hoon ki aap log ko ye content accha laga hoga aur agar aap log niche comment karke ye bataiyega ki hum log aur kis tarah sudhaar kar sakte hai to ye hamare liye motivational hoga.
0 Comments